Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
Meray naghmaat ko andaz-e-nawa yaad nahin
Hum ne jin kay liye rahon main bichaya tha lahu
Hum se kehtay hain wohi ehad-e-wafa yaad nahin
Zindagi jabar-e-musal'sal ki tarah kaati hai
Janay kis jurm ki paai hai saza yaad nahin
Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai
Main woh saa'il hoon jissay koi sada yaad nahin
Kaisay bhar ayein sar-e-shaam kisi ki aankhein
Kaisay tha'raai chraghon ki zia yaad nahin
Sirf dhund'laey sitaron ki chamak dekhi hai
Kab hua , kon hua , mujh se khafa yaad nahin
Ayo ! ik sajda karein Aalam-e-madhoshi main
Log kehtay hain keh "Saghar" ko Khuda yaad nahin
No comments:
Post a Comment