Mar 12, 2016

Mohabbat mustaqil gham hai , Mohabbat gham ka gehwara


Mohabbat mustaqil gham hai , Mohabbat gham ka gehwara 
Jo aansoo rang le aaye wohi daman ka sheh'para 

Jissay arman ka khoon de kar be'naam-e-aarzu seecha 
Khuda janay kahan hai woh jahan-e-zindagi araa

Mera zouq-e-khari'dari hai ik jins-e-garaan maya 
Kabhi phoolon ka shaida'i , kabhi kaanton ka banjara

Jahan munsib Ataa hotay hain be'fikar-o-farasat bhi 
Wahan her justagoo jhooti , wahan her azam na'kara 

Basa auqaat choo leti hai daman kabirai ka 
Tumhari jumbish-e-aabru , meri takhleeq-e-awara 

Na'janay mohtasib kiyon meh'kaday ka naam detay hain 
Jahan kuch aadmi kartay hain apnay dard ka chaara 

Teray gaisoo khayalon ki girift-e-naaz se guzray 
Keh jaisay aik jigi ban main lehraata hai do tara 

Palat aaye hain shayed inqalab-e-deed kay lamhay 
Nazar ki wusaton main  doobta jata hai nazara 

Faqat ik haath main toota hau "Saghar" uthane se 
Larz utha hai ae yazdan ! teri azmat ka meenara

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...