Mar 23, 2016

Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar


Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar
Dil kay katnay ka hai ehsaas ragon kay andar

Kya bataon keh meray payar kay din kaisay hain
Chand utarnay ka sama bhi hai shabon kay andar 

Us ki aankhon se hain roshan meri sochon kay chragh 
Ae hawa in ko chupa lay tu paron kay andar 

Aag lagti hai jo jazbon ko to ro leta hoon 
Warna jal jaye yeh dil mera palon kay andar 

Jo bhi likhta hoon woh shairon main dhala aata hai 
Mud'dua apna likhon kaisay khatton kay andar 

Baat kartay huye dar lagta hai us shakhs se "Saad"
Kon rakh paye wahan khud ko hadon kay andar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...