Mar 23, 2016

Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi


Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi 
Kuch nahin tha to mitanay ki zaroorat kya thi 

Jab yeh matti hi muqaddar hai zameen zaadon ki 
Aasman sar pe uthanay ki zaroorat kya thi 

Aisa hota hai keh bas main nahin rehta kuch bhi 
Warna ghar baar lutanay ki zaroorat kya thi 

Dil ujarta hai to phir kuch nahin rehta baqi 
Bastiyan is main basanay ki zaroorat kya thi 

Tu bichar jata bataye bina ae dost meray 
Mujh ko ehsaas dilanay ki zaroorat kya thi 

Ab to yeh neend bhi sapnay ki tarah hai goya 
Khawab ko aankh bananay ki zaroorat kya thi 

Apna sar tu ne uthaya to bhout khoob kiya 
Haan magar is ko jhukanay ki zaroorat kya thi 

Aik ujri hui surat kay siwa kuch bhi nahin 
"Saad" is dil ko basanay ki zaroorat kya thi  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...