Mar 25, 2016

Mujhay kuch dair sonay de


Mujhay kuch dair sonay de 

Suno ! 
Main thak gaya hoon 
Meri palkon pe ab tak kuch adhuray khawab jaltay hain 
Meri neendon main teray wasal ka resham ulajhta hai 
Meray aansoo , meray chehray pe teray gham ko likhtay hain 
Meray andar kai sadiyon kay sanaton ka daira hai 
Meray alfaaz baanhein waa kiye mujh ko bulatay hain 
Magar main thak gaya hoon 
Aur main ne khamoshi ki goad main sar rakh diya hai 
Main baalon main tumharay hijar ki narm ungliyan mehsoos karta hoon 
Meri palkon pe jaltay khawab hain ab raakh ki surat 
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendein nahin buntein 
Meri aankhon main jaisay thar kay mousam ka basera hai 
Mujhay andar kay sanaton main gehri neend aayi hai 
Suno !
Is yaad se keh do 
Mujhay kuch dair sonay de

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...