Mujhay tum kya batao gi ?
Keh jab se mujh se bichri ho
Bhout be'chain rehti ho
Meri baatein sata'ti hain
Meray lafzon kay jugnoo !
Aik pal ojhal nahin hotay
Meri nazmein rulati hain Meri aankhein jagati hain
Mujhay tum kya batao gi
Keh tum ne baar ha in ajnabi chehron kay jungle main
Meray chehray ko dhoonda hai
Kisi manoos lehjay par
Kisi manoos aahat par
Palat kar aisay dekha hai
Keh jaisay tum meri mojoodagi mehsoos karti ho !
Mujhay tum kya batao gi !
Keh kitni shabnami shamein
Tehaltay , sochtay guzrein
Keh kitni chandni raatein
Dua'ein maangtay guzrein
Keh kitnay ashk aisay thay
Jo girtay hi rahay dil main
Mujhay tum kya batao gi
Meri jaan ! main samjhta hoon
Tumhari un'kahi baatein
Keh main in mousamon kay aik ik rastay se guzra hoon
Main ab bhi lafz chunta hoon
Main ab bhi ashk bunta hoon
Keh jab se tum se bichra hoon
Tumhari zaat par guzray
Main her mousam main rehta hoon
To phir kya sunao gi
Mujhay tum kya batao gi
No comments:
Post a Comment