Apr 20, 2016

Ae Khuda aaj ussay sab ka muqadar kar de


Ae Khuda aaj ussay sab ka muqadar kar de 
Woh mohabbat keh jo insaan ko pay'ambar kar de

Sanhay woh thay keh pathraa gayi aankhein meri 
Zakham yeh hain to meray dil ko bhi pathar kar de 

Sairf aansu hi agar dast-e-karam deta hai 
Meri ujri hui aankhon ko samandar kar de 

Mujh ko saqi se gila ho na tanak bakhshi ka  
Zehar bhi de to meray jaam ko bhar bhar kar de

Shouq andeshon se pagal hua jata hai Faraz
Kaash yeh khana kharabi mujhay be'dar kar de

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...