Apr 20, 2016

Ishq kaisa keh bharosa bhi nahin tha shayed


Ishq kaisa keh bharosa bhi nahin tha shayed 
Us se mera koi rishta bhi nahin tha shayed

Khalqat-e-shaher main jis haar kay char'chay hain bhout 
Main woh bazi kabhi khela bhi nahin tha shayed 

Zeest karnay kay sab andaz ussay az'bar thay 
Mujh ko marnay ka saleeqa bhi nahin tha shayed

Khaak uratay huye bazaron main dekha sab ne 
Main kabhi ghar se nikalta bhi nahin tha shayed

Us ki aankhon main bisharat thi naye khawabon ki 
Main ussay dekh kar chonka bhi nahin tha shayed 

Aik badal meray jo naam se mansoob hua 
Meray sehraa main to barsa bhi nahin tha shayed 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...