Apnay hi dost-o-pa meray apnay raqeeb ho gaye
Teray baghair phail kar bazu saleeb ho gaye
Koi hansa to ro paray roya to muskura diye
Ab kay teri judai main hum to ajeeb ho gaye
Aaj bhi dekh dekh kar waday ka din guzar gaya
Aaj bhi phail phail kar saye moheeb ho gaye
Loh-e-jabeen pe is tarah likhi gayein musaftein
Itna chalay keh raastay apna naseeb ho gaye
Shiddat-e-gham ko dekh kar gham ko bhi reham aa gaya
Woh jo kabhi raqeeb thay woh bhi habib ho gaye
Hum se Adeem faisalay kitnay ajeeb ho gaye
Rakhna tha jin se faasla un kay qareeb ho gaye
Us ki rafaqaton se hum kitnay ameer thay Adeem
Woh jo bichar gaya to hum kitnay ghareeb ho gaye
No comments:
Post a Comment