Jab ussay chaha to chaha her tarah kay haal main
Her tarah ka husan dekha us kay khad-o-khaal main
Chal rahi hai yeh zameen zindan ki chaki ki tarah
Pis rahay hain log kya kya us kay maah-o-saal main
Misal-e-maahi waqat kay haathon se phisli to bhout
Phans gayi aa kar jawani jhuriyon kay jaal main
Intihaon par rahay hum darmiyan thehray nahin
Aasman ki ooj par ya gir gaye pa'taal main
Yeh bhi kya insaaf hai Ae munsaf-e-wasal-o-firaq
Us ki aadhi bhi jhalak dekhi na pooray saal main
Ibtida se hashar tak sab teen pinjron main hain qaid
Koi mazi , koi mustaqbil main , koi haal main
365 dareechay waqf suraj kay liye
Chand ki khatar bani bara dari her saal main
Main ne socha tha kisi ko main bhi dhoka doon Adeem
Shakal apni hi nazar aayi sabhi ashkaal main
No comments:
Post a Comment