Apr 30, 2016

Bari si umar hui do'dhiya se baal huye


Bari si umar hui do'dhiya se baal huye 
Woh itna pyara hua jitnay maah-o-saal huye 

Kai jawab diye aur kai sawal huye 
Nahin huye woh nahin aashna-e-haal huye

Ussay bhi waqat ki matti ne gard posh kiya 
Libas jis kay zamanay main be'misal huye 

Ik aisay mor pe dono ko jab bicharna tha 
Taluqaat huye to kahan bahaal huye 

Meray naseeb ne gard aashna ussay bhi kiya 
Jo phool us ne diye woh bhi pai'maal huye 

Nahin keh haath kisi ne kabhi nahin thaama 
Par aisay log zamanay main khaal khaal huye 

Koi kamal nahin tha hamari qismat main 
Hum is liye to zamanay main la'zawal huye 

Sukhan wari main naseebon ka haath bhi hai Adeem 
Kiye kamal to seh'wan bhi kuch kamal huye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...