Apr 24, 2016

Aaya hi tha nazar keh nazara mita diya


Aaya hi tha nazar keh nazara mita diya
Toofan ne ik pal main kinara mita diya

Aaye jo lehraa kay tujhay lay na jaye saath
Saahil pe likh kay naam tumhara mita diya

Main ne kaha keh naam hatheli pe hai abhi
Woh hans kay dard se hi pukara , mita diya

Nadi main aks chand ka aur us ka aks bhi
Yeh to hawa ne chal kay  nazara mita diya

Poocha keh zindagi ki haqeeqat hai kis qadar
Naqsh-e-qadam zameen pe ubhara mita diya

Ik zard si lakeer kheenchi aasman par
Qismat ne janay kis ka sitara mita diya

Woh jis ko zoham tha keh hamesha rahoon ga main
Kutba bhi us ka waqat ne sara mita diya

Khaaka wafa ka us ne banaya to tha magar
Jitna sanwar saka tha sanwara , mita diya

Main us ka husan dekh kay zinda raha Adeem
Us ne to sab ko jaan se maara , mita diya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...