Chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
Apni taqdeer kahan bhool gaya eid ka chand
Un kay aabru-e-khameeda ki tarah teekha hai
Apni aankhon main bari dair chuppa eid ka chand
Janay kiyon ? aap kay rukhsaar mehak uth'tay hain
Jab kabhi kaan main chupkay se kaha eid ka chand
Door veeran baseray main diya ho jaisay
Gham ki dewaar se dekha to laga eid ka chand
Lay kay halaat kay sehraaon main aa jata hai
Aaj bhi khuld ki rangeen fiza eid ka chand
Talkhiyan barh gayein jab zeest kay paimanay main
Ghol kar dard kay maaron ne piya eid ka chand
Chasham to wusat-e-aflaak main khoi "Saghar"
Dil ne ik aur jaga dhoond liya eid ka chand
No comments:
Post a Comment