Zindagi ka rang dena hai teri be'daad ko
Surkhi khoon-e-tamana chahiye farhad ko
Na'mukamal hain abhi mazloom ki ruswaiyan
Phir zara tar'teeb deejiye zulam ki ru'daad ko
Yeh haseen palkon kay jhoolay aur ashk-e-aarzu
Muskura kar paalta hoon dard ki olaad ko
Daam kay halqay lagaye hain wahin siyaad ne
Said ne masoom samjha tha jahan siyaad ko
Meray khoon-e-aarzu se zindagi ki aabru
Main ne rangeen kar diya hai Aalam-e-ejaad ko
Justagu phir bhi teray gham ki rahi ehsaas ko
Dar-ba-dar le kay phira hoon is dil-e-na'shaad ko
Raahi'ro "Saghar" kisi se dil lagatay hain kahan
Manzilon pe chor dain gay raastay ki yaad ko
No comments:
Post a Comment