Dard ka ghaza ubhar aaya hai meray rukhsaar par 
Aik aansoo kya utar aaya meray rukhsaar par 
Dekh kitni roshni bikhri hai chehray par meray 
Dekh tera gham nikhar aaya meray rukhsaar par 
Aankh se thorri tak rangon se pur tha raasta 
Ik qatra kya sanwar aaya meray rukhsaar par 
Ik haya ne jaisay bhar dein khali shari'yanein meri 
Rang bhi dekho kidher aaya meray rukhsaar par 
Tam'tama uthi zamanay bhar kay sehraon ki rait 
Aks jazbon ka nazar aaya meray rukhsaar par   
 
No comments:
Post a Comment