Yeh duniya hai yahan her lamha taqdeer zaalim hai
Meray afsana-e-be'naam ki tehreer zaalim hai
Gham-e-hasti ki zanjeeron se insan ko kahan fursat
Kabhi halaat zaalim hain , kabhi tadbeer zaalim hai
Musawer ka qalam rangeeniyon main doob kar ubhra
Tasawur muskura kay keh gaya tasveer zaalim hai
Chragh-e-aarzu ko ik sahara de hi jati hai
Yahan dhaltay huye suraj ki tanveer zaalim hai
Palat kar zindagi ko zakham-e-taza de gayi aksar
Hamaray naala-o-shaywan ki her taseer zaalim hai
Chubho kar nashtar baith jatay hain kahin "Saghar"
Shawahid keh rahay hain yeh falak be'peer zaalim hai
No comments:
Post a Comment