Apr 15, 2016

Hum musafir hain meri jaan


Hum musafir hain meri jaan 

Hum musafir hain meri jaan musafir teray 
Hum to baarish se bhi dar jatay hain 
Aur dhoop se bhi 
Apnay qadmon kay nishano se mita'ein jo lahu kay dhabbay
Raastay ghussay main aa jatay hain 
Hum musafir hain 
Kiraiyon ko tarastay huye khaimon main ghirray 
Ghar se ghabra'iye huye youn hi hua kartay hain 
Ajnabi shaheron kay wahimon main paray 
Khouf aur adam tahfuz se churatay hain nigahein 
To kahin aur hi jaa partay hain 
Kab talak kon hamein rakhay ga mehmaan mohabbat kay siwa 
Aur kisi roz hamein yeh bhi kahay gi keh Khuda hi hafiz 
Hum jo logon se jijhaktay hain to majburi hai 
Hum jo raaston main bhataktay hain to mehsuri hai 
Hum musafir hain , meri jaan musafir teray 
Hum agar tujh se bichartay hain to meh'juri hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...