Ishq aik majnoon boorha devta
Ishq aik majnoon boorha devta
Na'shanasai pe hairaan
Be'hissi pe sakhat nalan dehar ki
Haath main ik lay kay puriya zehar ki
Baal bikhraye
Samaitay dhajiyan malboos ki
Paon main pehnay huye zakhmon ki na'lain kohan
PAthron ko khat'khatata phir raha hai
Daalta phirta hai nazrein qehar ki
Apnay jhoolay main liye kuch butt puranay
Aur kuch guriyan kisi beetay zamanay ki
Na janay zer'lab kya bar'barata phir raha hai
Be'khabar hai itni halat se khalqat hans rahi hai her gali kay mor par
Aur sun raha hai siskiyan bhi fitrat num'naak ki
Par beech raaston ki lagamein thaam kar bhi
Kainaton Tjro ungliyon se bandh kar bhi
Dil main koi gham chupaye phir raha hai
Waqat ki dharkan pe rakhta apnay qadmon kay nishan
Chakraa raha hai
Urtay phirat kaghzon paton paron kay darmiyan
Hans raha hai
Rotay rotay
Ro raha hai hanstay hanstay
Patharon , pathar garon kay darmiyan
Ishq aik majnoon boorha devta
Haath main aik lay kay puriya zehar ki
No comments:
Post a Comment