Jab biyan karo gay tum hum biyan main niklein gay
Hum hi dastaan ban kar dastan main niklein gay
Ishq ho mohabbat ho payar ho keh chahat ho
Hum to her samandar kay darmiyan main niklein gay
Raat ka andhera hi raat main nahin hota
Chand aur sitaray bhi Aasman main niklein gay
Dekh tu kabhi shab ka karwan sitaron ka
Noor kay kai meh'mal keh'kishan main niklein gay
Boliyan zamanay ki mukhtalif to hoti hain
Lafz pyar kay lakin her zuban main niklein gay
Kaat kar badan sara qaash qaash main jhankein
Aap kay hayolay hi qalb-o-jan main niklein gay
Khaak ka samandar bhi kya ajab samandar hai
Is jahan main doobein gay us jahan main niklein gay
Qissa-e-sukhan goi jab Adeem aaye ga
Hum bhi waqiya ban kar dastan main niklein gay
Sirf sabz pattay hi pairr par nahin hotay
Kuch na kuch prinday bhi Aashiyan main niklein gay
No comments:
Post a Comment