Khat chuppay ga kis tarah se mehram-e-dil'geer ka
Lafz her ik bolta hai pyar ki tehreer ka
Hai yahi jannat mujhay hissa meri jageer ka
Shakh aik ziytoon ki aur ik shajar injeer ka
Teray chehray ka ta'sur , teri aankhon ka khumaar
Husan aisa to nahin hai wadi-e-kashmir ka
Motiyon jaisay hain aansu phool jaisi hai hansi
Kon sa rukh samnay rakhon teri tasveer ka
Woh jahan kuch bhi nahin hai us ki yadon kay siwa
Hai wohi to qeemti hissa meri jageer ka
Jab mohabbat ka mehal apna aasra hai Adeem
Kya koi armaan rahay dil main kisi tameer ka
Jo naseebon main nahin main woh zara le loon Adeem
Woh to mil hi jaye ga hissa hai jo taqdeer ka
No comments:
Post a Comment