Aankhon main aansu'on ko ubharnay nahin diya
Matti main motiyon ko bikharnay nahin diya
Jis raah par parray thay teray paon kay nishan
Us raah se kisi ko guzarnay nahin diya
Chaha to chahaton ki hadon se guzar gaye
Nasha mohabbaton ka utarnay nahin diya
Her baar hai naya teray milnay ka zaiqa
Aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya
Yeh hijar hai to is ka faqat wasal hai ilaaj
Hum ne yeh zakham waqat ko bharnay nahin diya
Itnay barray jahan main jaye ga tu kahan
Is ik khayal ne mujhay marnay nahin diya
Saahil dikhai de to raha tha bhout qareeb
Kashti ko raasta hi bhanwar ne nahin diya
Jitna sakoon mila hai teray saath rah main
Itna sakoon to mujhay ghar ne nahin diya
Us ne hansi hansi main mohabbat ki baat ki
Main ne Adeem us ko mukarnay nahin diya
No comments:
Post a Comment