Khata waar-e-murawat na ho marhoon-e-karam ho ja
Musarat sar jhukaye gi pur'sitar-e-alam ho ja
Inhi be'rabt khawabon se koi tabeer niklay gi
Inhi uljhi hui rahon pe mera hum'qadam ho jaa
Kisi zar'daar se jins-e-tabasum maangnay walay
Kisi be'kas kay laashay par shareek-e-chasham-e-nam ho ja
Kisi din in andheron main chraghan ho hi jaye ga
Jala kar daagh-e-dil koi zia-e-shaam-e-gham ho ja
Tujhay suljahye ga ab inqalab-e-waqt ka shana
Taqaz-e-junoon hai gaisu-e-doran ka kham ho ja
Tajasus markaz-e-taqdeer ka qayel nahin hota
Shaoor-e-bandagi ! begana-o-dair-o-haram ho ja
Yeh manzil aur gard karwan Saghar kahan apnay
Simat kar raah guzar-e-waqat par naqsh-e-qadam ho ja
No comments:
Post a Comment