Fariyad kay taqazay hain naghma-e-sukhan main
Alfaaz so gaye hain kaghaz kay pay'rahan main
Her aan das rahi hain mazi ki talkh yaadein
Mehsoos kar raha hoon be'chargi-e-watan main
Tukra koi ataa ho ehraam-e-bandagi ka
Sorakh par gaye hain ikhlaas kay kafan main
Ae paasban-e-gulshan tujh ko khabar nahin hai
Sholay bharak rahay hain phoolon ki anjuman main
Ae yaar ! teray gham se fursat agar mili to
Tabdeeliyan karon ga is aalam-e-kohan main
Dekha hai main ne dil ki be'tabiyon ka manzar
Ik toot'ti kali main , ik doobti kiran main
Is darja dard afshaan gunchon ki daastan thi
Kaantay se chubh rahay hain ehsaas kay badan main
Shakhon pe un kay Saghar gaisu mehak rahay hain
Tarteeb paa rahi hain rangeeniyan chaman main
No comments:
Post a Comment