Kon is shaher se us shaher talak saath chalay
Kon qabron main bilakti hui veerani sunay
Yeh bhout hai keh meri mout pe roye hain
Mery chahnay walay kitnay
Warna main mout zada aadmi kya kar leta
Shakal afsurda banai hai jo koshish se kisi ne meharbani hai
Qabar khodi hai kashada to yeh ehsaan hai mujh miyat par
Aap jhar ka hai , dua maangi hai
Agar aap batiyan sulga'ein hain , gul phenkay hain
Aur poonka hai bhout parh kay kalaam
Kaash ik baar koi mar kay kabhi jee uthay
Aik ik zarhay pe so bosa de
Aik ik haath pe bait kar le
Aaj jin kandhon pe is shaher talak aaya hoon
Mout ki sari jaamah poonjhi meri in pe nisar
Mout ki duniya alag hoti hai
Mout ka shaher alag hota hai
Saath mar kay bhi koi saath nahin reh sakta
Baat agar hijar ki ho
Baat agar hijar kay dard ki ho
Baat kay saath kahan raat chalay
Kon is shaher se us shaher talak saath chalay
No comments:
Post a Comment