Woh kahin raasta bhatak jaye yeh to mumkin na tha magar phir bhi
Tum chraghon ki baat kartay ho hum ne dar-o-dewaar jala rakhay
Tum samajhtay ho aaftab dhalay shaam dar-o-dewaar pe dhalti hai
Mujh se poocho to intizaar ka gham , dil kay aangan main phail jata hai
Aik be'chaini roz poochti hai , koi dast-e-shifa bhi hai keh nahin
Hum ussay youn hi be'tagay hans hans , baton baton main taal detay hain
Hum teri raah'guzar thay aur jana teray intizaar main thay
Sochtay thay keh raaston kay bhi apnay apnay naseeb hotay hain
Is hamari zameen kay sapnay par khabar kya khabar kaisay kaisay jungle thay
Wehshatein is tarah huyein aabad bastiyan khaa gayein darakhton ko
No comments:
Post a Comment