Kuch khushi kay saa'iy main aur kuch ghamon kay sath sath
Zindagi kat hi gayi hai uljhano kay sath sath
Aaj tak us ki thakan se dukh raha hai yeh badan
Ik safar main ne kiya tha khwaishon kay sath sath
Kis tarah khaya hai dhoka kya bataon main tumhein
Doston kay mashwaray thay , sazishon kay sath sath
Kis tarah rakhey huye hain chand suraj ik jaga
Nafratein bhi pal rahi hain chahaton kay sath sath
Is dafa sawan main teri yaad kay badal rahay
Is dafa main khoob roya barishon kay sath sath
Woh jinhein main dost kehta tha baray hi maan se
Saf-ba-saf woh bhi kharay thay dushmano kay sath sath
Kaash phir se loat ayein phir wohi bachpan kay din
Bhaagna phoolon ki khatar titliyon kay sath sath
Shaher main kuch log meray chahnay walay bhi hain
Phool mujh ko lag rahay hain pathron kay sath sath
No comments:
Post a Comment