Kuch log jin ko fikar-e-ziyan de diya gaya
Kuch woh hain jin ko sara jahan de diya gaya
Dil ki mohabbaton ka bahao hai jis tarah
Dariya hai , jis ko aab-e-rawan de diya gaya
Aankhon ko samnay kay ilaqay diye gaye
Dil ko chupa hua bhi jahan de diya gaya
Izhar-e-ishq woh bhi baru-e-sitam'garan
Koh-e-garan ko sang-e-garan de diya gaya
Jaisay harray shajar ko laga di gayi ho aag
Kuch is tarah ka dil ko dhuwan de diya gaya
Bichray nahin , woh baat bicharnay ki yaad rahay
Ghao nahin diya hai , nishan de diya gay
Rehta kissay adeem baharon ka intizaar
Acha hua keh ehad-e-khizan de diya gaya
Roz-e-hisab , khouf-e-hisab us ko hai Adeem
Woh jis ko fikar-e-sood-o-ziyan de diya gaya
No comments:
Post a Comment