Chal diya woh dekh kar pehlu meri taqseer ka
Doosra rukh us ne dekha hi nahin tasveer ka
Baqi saray khat pe dhabbay aansu'on kay reh gaye
Aik hi jumla parha main ne teri tehreer ka
Tu ne kaisay lafz honton ki kamaan main kas liye
Itna gehra ghao to hota nahin hai teer ka
Azar baqi chaal main hai qaid ko baqi nahin
Paon aadi ho gaya hai is qadar zanjeer ka
Aa gayi kashti bhatak kar aab se su-e-sarab
Bhar gaya reg rawan se jaal mahi geer ka
Baat choti to nahin tujh se bicharnay ki hai baat
Faisala tasleem kar loon kis tarah taqdeer ka
Yaar logon ne ussay kutba bana dala Adeem
Aakhri pathar bacha jo umar ki tameer ka
Doston se bhi taluq ban gaya hai woh Adeem
Jo taluq hai kisi shamsheer se shamsheer ka
Zehar ki aankhon main roshan suratein do hain Adeem
Shakal ik suqraat ki aur aik chehra heer ka
No comments:
Post a Comment