Apr 16, 2016

Main ne tumhein khawab main dekha hai


Khawab 

Main ne tumhein khawab main dekha hai 
Aur tum se mila hoon 
Aik dukh denay walay khawab main 
Phir bhi mujhay laga main baidaar ho gaya hoon 
Kisi gehri aur dhund alood neend se 
Meri gham'zada baydari mujhay hairat se taknay lagi 
Aur main tumhein taknay laga 
Tum mujhay waisay nahin lagay 
Jaisay tum ho 
Main ne tumhein aisa dekha 
Jaisay meray dil main tha 
Aik dukh denay walay khawab main aur kya dekha jaa sakta hai 
Wohi na ! jo sach nahin hota 
Main ne socha 
Mujhay so jana chahiye 
Main en khawab ko lapeta aur takiya bana kay 
Ehtiyaat kay saath bistar kay neechay rakh liya 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...