Main talkhi-e-hayat se ghabra kay pee gaya
Gham ki siyah raat se ghabra kay pee gaya
Itni daqeeq shay koi kaisay samjh sakta hai
Yazdan kay waqiyaat se ghabra kay pee gaya
Chalkay huye thay jaam , parishaan thi zulf-e-yaar
Kuch aisay haadsaat se ghabra kay pee gaya
Main aadmi hoon , koi farishta nahin hazoor
Main aaj apni zaat se ghabra kay pee gaya
Duniya-e-haadsat hai ik dard'naak geet
Duniya-e-haadsat se ghabra kay pee gaya
Kaantay to khair kaantay hain in se gila hi kya
Phoolon ki waardaat se ghabra kay pee gaya
Saghar woh keh rahay thay keh pee leejiye hazoor
Un ki guzarshaat se ghabra kay pee gaya
No comments:
Post a Comment