Apr 12, 2016

Main teri aankhon main gum aur tu meri baat main gum


Main teri aankhon main gum aur tu meri baat main gum 
Achay khasay ho jatay hain in halaat main gum 

Jis se bolo us kay honton par ho gi ik chup 
Jis ko dekho wohi milay ga apni zaat main gum 

Tu kya janay rehnay walay roz-o-shab se door 
Sadi sadi ka din hai mera teri raat main gum 

Teri chah ki dhund main aisay khoya mera mann 
Jaisay koi subha ho jati hai barsaat main gum 

Kis kay dukh se zard hui hai rangat pairon ki 
Sabza kis kay baad hua hai ik ik paat main gum 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...