Apni wabastagi-e-no se bhi katt kar aatay
Hum ko kya aisi pari thi keh palat kar aatay
Choti say choti parishani bhi yaad aaye gi
Hum ko maloom na tha warna nimat kar aatay
Hum ko yeh khel adhooray nahin achay lagtay
Hum agar aatay to phir bazi ulat kar aatay
Rooh kay saath na denay se yeh khawaish hi rahi
Hum teray mad-e-muqabil kabhi datt kar aatay
Tujh se do tarfa adawat thi bhout bach'pan se
Kaisay mumkin tha teray samnay ghatt kar aatay
Jaisay qaidi koi apno se bicharta hai kabhi
Meray aansoo meri palkon se lipat kar aatay
No comments:
Post a Comment