Mera to ranjishein sari mitanay ka irada tha
Galay us shakhs ko phir se laganay ka irada tha
Chalo acha hua us ne mujhay sahil se lotaya
Mera to kashtiyan warna jalanay ka irada tha
Macha deti hai phir halchal khayalon main teri yaadein
Wa'garna tujh ko is dil se bhulanay ka irada tha
Bari minat samajat se kahin jaa kar woh mana hai
Jissay do chaar lafzon main mananay ka irada tha
Woh bazaron main kal aisay bana sanwra sa phirta tha
Keh jaisay shaher ko pathar bananay ka irada tha
Ussay ab dekhna bhi to zara acha nahin lagta
Kabhi aankhon main jo chehra basanay ka irada tha
Agar veeran shakhon par parindon kay ghar na hotay
To ab sookhay darakhton ko katanay ka irada tha
Tumhein hi ik nahin Akhtar yaqeen mano abhi us ka
Zamanay bhar ko dewana bananay ka irada tha
No comments:
Post a Comment