Surkh jalta hua suraj na chamak'daar sitara dekhein
Hum to aisay hain keh aankhon ka ishara dekhein
Kal bharray shaher main yeh soch kay thokar khaai
Kon deta hai hamein aa kay sahara dekhein
Dekh mat pooch lakeeron kay ma'ani hum se
Hum to woh hain jo lakeerein na sitara dekhein
Bas yahi soch kay shehron se nikal aaye hain
Kaisay hota hai tumhein kho kay guzara dekhein
Ab to her mor pe hum'raaz badal jatay hain
Kis ko fursat hai kahan kon pukara dekhein
Yeh to ijaaz tasawur ka hai teray warna
Hum to aisay hain keh her mor sahara dekhein
Log is taak main barson se lagay hain Akhtar
Us ki khatar hamein kya kya hai gawara dekhein
No comments:
Post a Comment