Apr 4, 2016

Meray humdam , meray sathi tumhein to yaad hi ho ga


Tumhein kiyon itni jaldi thi ?

Meray humdam , meray sathi 
Tumhein to yaad hi ho ga 
Woh din kya khaas tha jab tum meray jeewan main aayi thein
Meri be'rang duniya ko tumhari muskurahat ne hazaron rang bakshay thay 
Ussay kaisay sajaya tha tumhein to yaad hi ho ga 
Tumhein main ne bataya tha 
Keh main khawabon main rehta hoon 
magar tum ik haqeeqat ho 
Mohabbat hi mohabbat ho 
Phir us kay baad jeewan kay sabhi mousam , sabhi manzir tumhari aankh se dekhay 
Tumharay saath jo guzray wohi apl zindagi thehray 
Tumhein to yaad hi ho ga , mujhay kab yaad rehta tha 
Mujhay kya kaam karnay hain 
Mujhay kis kis se milna hai 
Kahan jana zaroori hai 
Khafa koi hai kiyon mujh se
Kissay jaa kar mana'na hai 
Mujhay kab yaad rehta tha 
Mera ma'mool to tum thein 
Tumhi sab yaad rakhti thein 
Main apnay dil ki sab baatein faqat tum se hi karta tha 
Tumhari bhi yeh aadat thi 
Tumhein to yaad hi ho ga main aksar tum se kehta tha 
Abhi is zindagi kay saath kitnay rog liptay hai 
Mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti 
Zara woh waqat aanay do , zara fursat milay mujh ko 
Bitha kar samnay tum ko tumhein jee bhar kay dekhon ga 
Bataon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
Mujhay is dam mili fursat 
Keh jab yeh baat sun'nanay ko nahin tum samnay meray 
Meri jaan tum wahan par ho jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin aata 
Tumhein kiyon itni jaldi thi ?
Mera iqraar sun leti , mera izhaar sun leti 
Keh ab fursat hi fursat hai 
Keh ab ma'mool main meray faqat tum se mohabbat hai 
Magar yeh bhi haqeeqat hai 
Keh main ta'kheer se poncha , tumhein janay ki jaldi thj
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...