Milo hum se
keh hum bichray huye hain
Hamaray khawab aankhon se juda
Tabeer jeewan se
Hamaray aanso'on main aarzu'on ki kasak waisi nahin ab kay
Dilon main dard bhi pehlu ban kar aur ban baitha
Hamari shaam ab roye to palkon se judai ki ki jaga ma'yousiyon ka gham tapakta hai
Hamara dil dil-e-veeran ho kar bhi kisi kay dard ki khwaish nahin karta
Milo hum se
Hamara haal bhi dekho
Mohabbat kay marahil jis tarah se sar kiye hum ne
Lahu ko bhi paseena aa gaya aksar
Hamaray cheethray pagal hawa jaisay urra lati thi basti se
Shab-e-hairaan se poocho
Shab-e-veeran hairat se hamein takti to kehti
Muj'tama ho kar yahan se loat aakhir kiyon nahin jatay
Milo hum se
Hamein tanhai kehti hai
Mujhay bhi saath hi rakho
Hamein tanhai yeh kehti hai
Aur daman pakar kar saath chal parti hai basti main
Woh jis shab
Tum ne aanay ka kaha lakin aaye
Usi pal se sitaray raat se bichray huye hain
Aur kai jungle bhari barsaat se bichray huye hain
Ab kahan ho tum
Milo hum se , milo hum se
Hum apni zaat se bichray huye hain
Haan milo hum se
Hamein zakhmi tamana'on kay afsurda ghilafon aur rida-e-karb main pala gaya hai
Aur hamari par'warish jis hijar kay hathon hui hai
Umar se be'saye'bani kay katehray main kharra
Apni safaai de raha hai
Jo adalat mar chuki ho
Us adalat main kisi ko kon sunta hai
Ya aakhir kon sun sakta hai aisay main
Jahan khud mud'dai mulzim ho
Aur ilzaam ka matlab jahan bas jurm ho
To faisalay main dair kaahay ki
Milo hum se
Hamaray faisalay bhi ho chukay hain bin gawahon kay
Faqat taqdeer ki maani gayi hai
Hum muqaddar kay sitaray se giray
Umeed ki ujri hui shaakhon pe latkay haath aur paaon hilatay jaa rahay hain
Hum yahi kuch hain
Hamaray naam jin teelon pe koi dhoop likh kar rakhi gayi thi jal chukay hain aur
Hamara rizq jin raston pe koi bhook phaila kar
Hamari kawishon pe hans gayi thi
Hum wohi kuch hain
Hamein ab aakhri lamhay kisi dehleez par aankhein bichanay do
Hamein milnay milanay do
Milo hum se
Hamaray dard se khelo
Hamein la'chaar rehnay do
Meri jaan tum sitaray tor lanay ki jahan bhi baat kartay ho
Hamaray haath rotay hain
Hamara dil bhi rota hai
Tumharay bhol'pan ki shaklein ya mushkalon ka bhol'pan
Aksar hamein beemar rakhta hai
Milo hum se hamari khaak rahon main uraao
Aur hamari gird khelo
Zaban par na'samjh baton kay ilzamaat ki bo'chaar kar do
Aur sakoot-e-zard se khelo
Galay lag kar hamari khwaishon ki baraf kay asraat jhelo
Aur saanson ki hawa-e-sard se khelo
Samandar paar karnay ka Musam'mam khawab dekhein
Aur phir is ki ajab tabeer se nazrein chura'ein
Kaisa lagta hai ?
Hum apnay saahilon par adh khulay baad'bano se bandhay hain
Baad'baan kab hain
Saleebon ne bhala kab kashtiyan us paar lagnay dein
Hamari raat hum se baat karti hai to barsatein barasti hain
Hamari shaam tera naam leti hai to kitnay kaam aa partay hain sar par
Aur hamari do'pehar jitna safar kar le kahin chaaon nahin milti
Hum aisay hi hain saye'bani kay
Milo hum se
Hum aisay hi hain apni rai'gani kay , aur apni zindgani kay
Milo hum se
Hamara haath dekho
Aur batao bhi
Lakeerein is tarah se kab talak ulajhti rahein gi khush naseebi se ....batao !
Kab talak aik doosray ko kaat'ti mit'ti rahein gi , bad'naseebi ki siyahi se
Hamara is qadar veeran ho jana , kabhi tabdeel bhi ho ga
Hamara is qadar sunsaan ho jana , ujar jana kabhi abaad bhi ho ga
Hamari khush'nu'mai ki haqeeqat bhi hamein maloom hai
Kya sab , yeh sab ada'kari hamesha jaari-o-saari rahay gi zindgani bhar
Hamari aankh hansi hi rahay gi
Aur dil rota rahay ga kya
Youn hi hum boltay hi jayein gay be'baat baton par
Magar andar koi chup saadh kay youn hi hamein takta rahay ga
Dard main doobi nigahon se
Milo hum se bhi
Hum ko kisi foot path pe chaltay dekho
Hamaray muz'tarib baazu khala main ik doojay ki mukhalfat simat main uth'tay
Palatay aur takratay hain aapas main
Keh jaisay hum khud apnay aap main jakray churanay ki
Kisi kamzor si ik kash'mu'kash main hoon
Hamein deewar se lag kar kahin baitha hua dekho
Udasi god main bhar kar kisi gham'naak afsurdagi se soch main doobay
Zamanay se kat'tay , ujra gharonda lag rahay hotay hain jab bhi hum
Prinday hum pe rotay hain
Hawaein sogwari se hamein sula rahi hoti hain
Ham'dardi kay jazbay se
Hamein soya hua dekho
Kabhi deewar par kabhi chatt par kabhi kursi kay pa'iyon par
Kitabon se attay table
Qalam ki cap ya gul'daan kay sookhay huye phoolon pe nazrein gaar kay
Janay kahan khoye huye bikhray huye rehtay hain dewanay
Milo hum se
Hamein dhoondo
Hamein dhoondo keh aksar hum khud apnay jism main hotay huye bhi
door itni door hotay hain keh hum ko loat aanay main bhi khasa waqat lagta hai
Hum apni zaat main kafi muyassar ho kay bhi kaafi nahin hotay
Hum apnay zikar main miltay hain phir bhi baat poori ho nahin paati
Hamein dhoondo
Hum apni shairy main zarha zarha , qatra qatra batt chukay hain
Aur kisi kal ko tarastay hain
Hamara mar'kaza janay kahan taqseem kar baithi hai mehroomi
Hamara daira tanhaiyon ne tor dala hai
Hamein be'simton ne is tarah se mor dala hai keh ab koi
Yaqeen hi nahin baqi
Hamara naqsh-e-paa tak khaak ne aisay ulat mara hai jaisay
Bad'naseeb mohabbaton kay saath koi haath karti hai
Hamein dhoondo
Hamein chehra badalnay main maharat hai
Hum apnay dard ko , ehsaas ko , jazbay ki komalta ko
Apni narm khooni ko
Hum apnay soz ko aankhon se zaahir kiyon karein
Apni karahon ko zuban par kis liye laa'ein
Hum apnay aanso'on ko apnay rukhsaron apr aakhir kiyon barasnay dain
Zamana to zamana hai
Hum apna aap aakhir kiyon karein us kay hawalay
Aur kiyon kar somp dain us ko dil-o-jaan raakh kar denay ko
Sab kuch khaak kar denay ko
Aakhir kiyon karein us kay hawalay rooh bhi apni
Milo hum se
Hamaray shaher main aao
Bhout aaram hai , khushiyon ki khawaish , khoon roti hai
Bhout hi aman hai qatal sakoon main hain , unhein poora ta'hafuz hai
Milo hum se
Hamaray shaher ki galiyan , hamari dard se bojhal wadeedon ki tarah
Her su bhout veerani phaili hai
Hamara chowk aaye din , kisi ki laash apr maatam kay markiz hain
Hamaray shaher kay bazar ik doojay ki jaib'ein kaatnay ki
Tarteeb gaahein banay , maqsad main pooray hain
Hamaray gahr main hairaan veerani se taktay hain to lagta hai
Hamaray aur in kay darmiyan kuch weh'shiyana si ajab ik ajnabiyat hai
Hamaray shaher kay gulshan mohabbat karnay walon ki bajaye
Aur logon se bharray rehtay hain
Aksar hi wahan mil kar baith kar aik doosray se pyar ki baatein nahin mumkin
Bhout khouf aata hai
Wahan pairron pe koyel ki jaga kaway hain
Ku ku ki jaga par kaein kaein ki
Sadaein reh gayi hain , dil jalanay ko
Hamaray shaher ki ik ik sarak apr mout chalti hai
Kai galiyan to qadmon ko gawara hi nahin kartein
Dukano pe sabhi ashiya hamari aarzu'on par lapakti hain
Taaluq main bharay bazar be'razi se aagay barh nahin saktay
Hajoom be'karan , be'taab bhaga phir raha hai
Raaston ki bad'shagooni par
Wasa'il kay masa'il main ghirray hum apnay seenay main kisi bhi dard kay saa'il
se munkar hain
Milo hum se
Magar kuch dard se , ta keh hamari roshni roshan rahay
Warna andhera hi andhera hai
Hamaray shaher main aao
Tumhein tareekiyan sehnay ki aadat daal dain gay hum
Milo hum se
Hamein Eh'zaaz hasil hai
Hum apnay zakahm shano pe sajaye
Shaan se phirtay hain basti main
Hamaray zakahm zinda hain
Kisi kay Aaib ki jhooti gawahi par nahin maa'il
Kisi kay jhoot ki ba'barkati kay bhi qaa'il
Mohabbat ne waqtan fa'waqtan jis tarah charkay lagaye
Aur wafa ne khoon ro ro kar jo sab se waday nibhaye
Zakham ban ban kar
Hamari sur'ku'roi kay silay main parwarish patay rahya hain
Ab hum apni be'qaraari par bhout khush ain
Kasak sachi ho , aur dil main kahin koi siyah'kaari na baithi ho
To la'chaari nahin aati
Hamaray zakahm taqat hain
Hamein tareek raston par diye ban ban kay aagay hi barhatay hain
Hamein eh'zaaz hasil hai
Hamaray zakham sacchay hain
Khud apnay aap ko bhi munda'mil honay nahin detay
No comments:
Post a Comment