Mohabbat kuch nahin hoti
Mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahin hoti
Hijar ka khouf be'matlab , wasal kay khawab be'mahni
Koi surat nigahon main kahan din raat rehti hai
Ussay kiyon khamoshi kehiye keh jis main baat rehti hai
Yeh aansoo , be'zuban aansoo , bhala kiyon bol saktay hain
Kahan dil main kisi ki yaad se toofan uth'tay hain
Kahan palkon kay saa'iye main nami din raat rehti hai
Kahan hoti hain woh aankhein jahan barsaat rehti hai
Mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahin hoti
Magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hai
Keh us ki jheel aankhon main hijar ka khouf rehta hai
Wasal kay khawab rehtay hain wahan barsaat rehti hai
Youn lagta hai kai raaton se woh soyi nahin shayed
Youn lagta hai kisi ki yaad ab din raat rehti hai
Aur us ki narm palkon kay haseen saa'iye bhi geelay hain
Aur us ki khamoshi aisi keh jis main baat rehti hai
Mujhay ab woh nahin kehti mohabbat kuch nahin hoti
Keh ab shayed mohabbat ki woh sab ram'zain samajhti hai
No comments:
Post a Comment