Mujhay tum yaad aatay ho
Kisi sun'saan sapnay main chuppi khwaish ki hiddat main
Kisi masroofiyat kay mor par
Tanhai kay sehraon main
Ya phir kisi anjaan be'maari ki shiddat main
Mujhay tum yaad aatay ho
Kisi bichray huye ki chasham par namkay nazaray par
Kisi beetay huye din ki thakan ki oat se
Ya phir tumharay zikar main guzri hui shab kay isharay par
Kisi basti ki ba'ronaq sarak par
Aur kisi dariya , kisi veeran jungle kay kinaray par
Mujhay tum yaad aatay ho
Meri chup kay kuwen main
Aarzo'on kay badan jab tairtay hain
Aur kinaray se koi bolay
To lagat hai ajal awaz deti hai
Meri be'chainiyon main jab tumhari tund khor bakah khatakti hai
Tumhari be'sabab doori sulagti hai
Ya phir jab bhi meri aankhon kay sehra main
Tumhari yaad ki tasveer jalti hai , judai haath malti hai
Mujhay tum yaad aatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho
Muqaddar kay sitaron par
Zamano kay isharon par
Udasi kay kinaron par
Kabhi veeran shehron main
Kabhi sun'saan raston par
Kabhi hairaan aankhon main
Kabhi be'jaan lamhon apr
Mujhay tum yaad aatay ho
Sohani shaam ho koi
Kahin bad'naam ho koi
Bhalay gul'faam ho koi
Kisi kay naam ho koi
Mujhay tum yaad aatay ho
Kahin barish baras jaye
Kahin sehra taras jaye
Kahin kaali ghatta utray
Kahin baad-e-saba thehray
Tumharay aur meray darmiyan aa kar khuda thehray
To meri zindagi kay awal-o-aakhir
Tum us lamhay
Khuda kay baad aatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho
No comments:
Post a Comment