Apr 8, 2016

Apnay aap ko aik shola biyaan muqar'rar se ba'mushkil bachatay huye


"Aa laga jungle dar-o-dewaar se"

Apnay aap ko aik shola biyaan muqar'rar se
Ba'mushkil bachatay huye 
Logon aur jhanson ki bheer se nikal to aaya 
Lakin bahir aa kar pata chala 
Keh meray paon meri tangon kay saath nahin hain 
Main wapis palta 
Aur khasi koshish kay baad sirf jutay talash kar saka
Sarak paar kartay huye 
Aik raftaari gari ki zad main aaya to bach na saka 
Gari mujhay uchaal kar door phaink gayi 
Aur jatay jatay meri taang apnay saath lay gayi 
Meray jutay wahin paray reh gaye 
Aur mujhay hospital poncha diya gaya 
Jahan meri aankh 
Meri be'hoshi kay aalam main ati'aye kay tor pe le gayi 
Kuch dino baad hospital se farigh ho kar nikla 
To aik jaib katray se takraa gaya 
Jo jaib ko bilkul khaali paa kar 
Meri ungliyan hi kaat kar le gaya 
Main report darj karwanay gaya to 
Mohafazon ne kaha 
Keh halaat aisay nahin keh koi bhi 
Itnay sahi salamt bazu khulay aam saath liye phiray 
Aur phir unhon ne ehtiyatan meray haath jisam se kaat kay apnay 
Maal khanay main rakh liye 
Wahan se chala aur bazar main aaya 
To jaga jaga ishtiharon , bennaron se dewarein bhari nazar ayein 
Jin main emaan walon se
Mulak , qoam aur mazhab kay naam par
Saron aur gardano ki qurbani paish karnay ki appelein  ki gayi thein 
Is se pehlay keh kuch samajhta ya sochta 
Aqeedon aur nazriyaat ka aik azda'haam mujh par hamla'awar ho chuka tha 
Jo bil'aakhir mera sar meray tan se juda kar kay le gaya 
Main larr kharaya aur zameen par aa raha 
Woh 3 pathreeli Ayriyan mujhay kuchaltay huye guzar gayein 
Abhi kuch ziyada dair nahin hui thi keh 
2 yakh barfeelay haathon ne uthaya mera katta phatta aur toota phoota badan 
Aur haath se dhakelay janay walay aik chotay se lakri kay 
Chakrray lita diya 
Chakkra hila aur aik simt dhakela janay laga 
Saath hi aik awaz meray kaano main pari 
"De ghreeb ko Allah tujhay sari duniya ki badshahat de "
"De ghreeb ko Allah tujhay zindagi main koi dukh na de "
Kuch hi dair baad 
Chotay chotay sikkay meray shakista jisam par girnay lagay 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...