Apr 22, 2016

Pathar kay khuda , pathar kay sanam ! pathar kay hi insan paye hain


Pathar kay khuda , pathar kay sanam ! pathar kay hi insan paye hain 
Tum shaher-e-mohabbat kehtay ho hum jaan bacha kar aaye hain 

Butt-khana samjhtay ho jis ko poocho na wahan kya halat hai 
Hum log wahin se lotay hain bas shukar karo loat aaye hain 

Hum soch rahay hain muddat se ab umar guzarein bhi to kahan 
Sehra main khushi kay phool nahin shehron main ghamon kay saaiye hain 

Honton pe tabasum halka sa aankhon main nami si Ae Faakir
Hum ehal-e-mohabbat par aksar aisay bhi zamanay aaye hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...