Rasam-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo
Dosti kay baab main dil ka kaha mana karo
Aik dheema sa tabasum rasam hi si ban gaya
Dosto ! apnay paraye ko to pehchana karo
Roshni ka qehat hai par fikar-e-farda kis liye
Khoon ki tanveer se roshan siyah khana karo
Choti moti baat ho to jins-e-gham detay rahao
Jurm ho sangeen to khushiyon ka jurmana karo
Rasam-e- shabiri dawam-e-zeest hai Rashak
Zeest karni hai agar to sar'faro'shana karo
No comments:
Post a Comment