Apr 29, 2016

Phir wohi dewar woh hi dar lagay


Phir wohi dewar woh hi dar lagay 
Yeh to phir mujh ko usi ka ghar lagay 

Gard suraj kay zameen ghoomi bhout
Us gali main ya meray chakar lagay 

Khawaishon ki jab bhi had bandi karon 
Dairay se her koi baahir lagay 

Ik takhiyul aur phir tera khayal 
Par to pehlay bhi thay ab sheh'par lagay 

Jab kabhi aaya taqabal ka sawal 
Khud se saray hi log behtar lagay 

Jis tarah ka beej waisa hi samar
Phal darakhton ko zameen ko ghar lagay 

Us jaga pe chaaon paati hai wajood
Jis jaga par dhoop ko thokar lagay 

Her dar-o-dewaar ki maangon dua 
Mujh ko to her ghar hi apna ghar lagay 

Bhook dekhon jab kisi ki bhi Adeem 
Dana-e-gandum mujhay kankar lagay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...