Puranay zard patton kay bahanay
Darakhton se utar aaye zamanay
Yeh pattay khaak ka zewar nahin thay
Yeh saray hi bulandi par kahin thay
Jo maaray maaray phirtay hain dewanay
Darakhton se utar aaye zamanay
Hain apnay dard kay hum'raaz pattay
Her ik mousam se hain naraz pattay
Inhein ab kon aaye ga mana'nay
Darakhton se utar aaye zamanay
Yeh peelay dil hawa kay aasray par
Paray hain bas khuda kay aasray par
Koi aaya nahin in ko uthanay
Darakhton se utar aaye zamanay
Kabhi shakhon se thay phootay prinday
Yeh harjai baray jhootay prinday
Yeh pattay yeh khizaon kay fasanay
Darakhton se utar aaye zamanay
Puranay zard patton kay bahanay
Darakhton se utar aaye zamanay
No comments:
Post a Comment