Apr 17, 2016

Sham-e-khizan ki gum sum boli


Sham-e-khizan ki gum sum boli 
Jeewan lamhay zehar ki goli 

Meray aansu aur sitaray 
Khail rahay hain aankh macholi 

Do pholon ki khatar tarsein 
Aaj baharon kay hum'joli 

Chand ka saya chatt par utra 
Hum'saye ne khirki kholi 

Tor diya dam dewano ne 
Umar junoon ki poori holi 

Phool bhi hai , kaanta bhi hai 
Mann maila hai ' surat bholi 

Lambi hai taqdeer ki dori 
Kis ne maapi , kis ne toli 

Apni duniya rain basera 
Apni doulat khali jholi 

Jism ka zindaan rozan rozan 
Jab jee chaha sui chubho li 

Meray shairon ka maj'mooha 
Mast kharamon ki toli 

Khaak-e-dar-e-meh'khana hum ne 
Saqi ! paimano main gholi 

Pattay bhi ashjaar kay naghmay 
Saye hain dewaar ki boli 

Cheent gham-e-asiyan ki "Saghar"
Hum ne sharab-e-naab main dho li

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...