Tanao main jab aa jayein to dhaagay toot jatay hain
Zara si baat par daireena rishtay toot jatay hain
Tumhein is baat pe hairat keh toota hai hamara dil
Muqabil jab keh hon pathar to sheeshay toot jatay hain
Guzartay waqat se cheezein purani ho hi jati hain
Dilon pe mail parti hai to jazbay toot jatay hain
Hazaron khwaishein tarteeb paati hain khayalon main
Magar jab aankh khulti hai to sapnay toot jatay hain
Umad aatay hain jhariyon main hazaron dukh zamanay kay
Guzar kar umar kay hissay se chehray toot jatay hain
Na'janay kiyon tumhari yaad aati hai mujhay us dam
Meray aangan main jab bailon kay pattay toot jatay hain
Dukhon main to nikal aatay hain aankhon se Zaheer aansu
Khushi kay mousamon main bhi kinaray toot jatay hain
No comments:
Post a Comment