Phir kabhi logon ki baton main nahin aaye ga woh
Dekh lena mujh se mil kar theek ho jaye ga woh
Meray us kay darmiyan koi bara jhagra nahin
Lakin us ko tool de ga khoob phailaye ga woh
Choti choti ranjishon ko bhool jana chahiye
Janay is niktay ko aakhir kab samjh paye ga woh
US ki khatir main to si duniya se kat kay reh gayi
Woh zamana saaz hai acha to kehlaye ga woh
Sulha to kar lay ga aa kay mujh se lakin is kay baad
Jab milay ga bas yahi ehsaan jatlaye ga woh
Main bhi kuch aisi gayi guzri nahin keh do ussay
Aankh utha kar bhi na ab dekhon gi pachtaye ga woh
Dekho Shabnam yeh ghazal us tak bhi ponchay gi zaroor
Phir na kurhna baith kar jab aur itraye ga woh
No comments:
Post a Comment