Shayed is tarah tum samjh jaao
Tum ne kaha
Bhout saray naamo main likha hua naam
Mehboob nahin kehlaa sakta
Aur bhout sari tasveeron main lagi hui tasveer
Pasandeeda tareen
Sabit nahin hoti
Jab keh mera khayal yeh hai keh
Bhout saray naam nahin hon gay to aik naam sar-e-fehrast kis tarah aye ga
Aur sab se ziyada apna kaisay lagay ga
Aur agar kaafi sari tasveerain nahin hon gi
To in main se aik ko
Utha kar aankhon se laga lenay ki lazzat
Kaisay naseeb ho sakti hai
Main kuch keh nahin sakta
Keh main apni baat samjhanay main kahan tak kamyaab hua hoon
Tum youn karo
Keh kisi din kisi qad aainay kay samnay
Dair tak khamosh baithay khud ko jhanktay raho
Aur aankhon ko mal mal kay baar baar jhanko
Ya kisi gumbad main
Dair tak apna naam le kar zor zor se awazein do
Aur phir kabhi bhout saray logon kay darmiyan khud ko dekho
Aur bhout sari awazon main
Apni awaz suno
Shayed is tarah tum
Ziyada behtar tor par samjh sako
Jo main tumhein samjhana chahat hoon
No comments:
Post a Comment