Apr 8, 2016

Tumhara pyara chupp chupp kar kai chehray badalta hai , mujhay tum yaad aatay ho


Tumhara pyara chupp chupp kar kai chehray badalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 
Tumhara hijar shiddat se meray dil ko masalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Samandar aashna aankhon main sehraa aan bastay hain tumhain jab bhool jata hoon 
Phir in sehraaon main khawab ka chashma nikalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Main apnay haath se teri sunehri yaad ki palkein sajata hoon khayalon main 
Khayalon main tera mousam kai pehlu badalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Teri parchaiyan , her su meray , tanhaiyon ka raqs karti hain udasi par 
Meray seenay main ik be'chain sa bacha machalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Kisi foot'path par bazaar main , baghaat main ya phir kisi dariya kinaray par 
Bhout khush ho kay jab koi kisi kay saath chalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Main sara din koi sangi mujasma ban kay rehta hoon magar jab shaam dhalti hai 
Meray dil ki jaga par koi pathar sa pighalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Tasawur main tumharay sang beeti baarishein aksar tumhein awaz deti hain 
Nigahon main tumhari dhoop ka ik deep jalta hai , mujhay tum yaad aatay ho 

Kabhi koi sitara aankh se hota hau bujhta hai aa kay goad main gir kar 
Bhi koi bhout door ubharta aur dhalta hai , mujhay tum yaad aatay ho
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...