Apr 15, 2016

Tumhein yaad hai ? tum ne mujhay kabhi khat nahin likha


Tumhein yaad hai ?
Tum ne mujhay kabhi khat nahin likha 
Aur na kabhi koi sandesa bhejwaya hai 
Tum ne kabhi mera intizaar nahin kiya 
Aur na kabhi bulwa bheja hai 
Tumhein yaad hai ?
Tum ne mujhay kabhi chua nahin 
Aur na kabhi khawaish ki hai 
Tum ne kabhi kisi khawaish ka izhaar nahin kiya 
Jo main chahata hoon 
Na tum ne kabhi yeh socha hai keh main kya chahata hoon 
Tum ne kabhi kisi darakht par mera naam nahin likha 
Kisi kaghaz par bhi nahin 
Tumhein yaad hai ?
Yaad hai tumhein ?
Nahin na ?
Mujhay to sab ka sab 
Bhout bhout bhout achi tarah yaad hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...