Ussay kehna
Kabhi milnay chala aaye
Hamaray paon main jo raasta tha
Raastay main pairr thay
Pairon par jitni tahiron ki toliyan
Hum se mila karti thein
Ab woh urtay urtay thak gayi hain
Woh ghanni shakhein jo hum pe saya karti thein
Woh sab murjha gayi hain
Tum ussay kehan
Kabhi milnay chala aaye
Labon pe lafz hain
Lafzon main koi daastan , aissa, kahani
Jo ussay aksar sunatay thay
Kissay ja kar sunaein gay
Bataein agy
Keh hum mehraab-e-aabru main sitaray taanknay walay
Dar-e-lab , bosa-e-izhaar ki dastak se aksar kholnay walay
Kabhi bikhri hui zulfon main hum
Mehraat kay gajray bana kar bandhnay walay
Chragh aur aainay kay darmiyan
Kab se sar-e-saahil kharray mojon ko taktay hain
Ussay kehna
Ussay hum yaad kartay hain
Ussay kehna
Hum aa kar khud ussay miltay
Magar maqtal badaltay mousamon kay khoon main rangeen hain
Aur hum
Qataar andar qataar aisay bhout se mousamon kay darmiyan
Tanha kharray hain
Janay kab apna bulawa ho
Keh hum main aaj bhi
Ik umar ki wa'raftagi aur wehshaton ka raqs jari hai
Woh baazi jo bisat-e-jaan pe kheli thi
Abhi hum ne jeeti hai na haari hai
Ussay kehna kabhi milnay chala aaye
Keh ab ki baar shayed
Apni baari hai
No comments:
Post a Comment